Irfani Kalam & Mankabats

The Importance of Kalima Tayeba 

By My Murshid Hazrat Mohammed Fazal Hussain Shah(rehmatullah alaih) Jinse Mian Talib Hua Mere Pir Sahab Ke Parde Ke baad.

 

Kalme se bana hai sara jahan kalme ki kali tum kya jano,

Ahmed wa Ahad ka raaz hai ye kalme ki kali tum kya jano,

 

Kya zaat e nabuwat isme hai aur zaat e khuda bhi isme hai,

Jannat i smain hurain ismain kalme ki kali tum kya jano,

 

Khusbhu is main nabiyon ki aur noor khuda bhi is main hai,

Duniya is main ukba is main kalme ki kali tum kya jano,

 

Hai is main Mohammad aur Ali aur Fatima pinha,

Hai is main Hassan aur Hussain bhi khud kalme ki kali tum kya jano,

 

Hai arsho kursi is mai hai aur chand sitare is main hai,

Aur Noor-e-Mohammad aur Noor-e-Khuda kalme ki kali tum kya jano,

 

Ya Shah-e-Madar samjhya mujhe is duniya main ukba mai hai kya,

Takhlik-e- zamana hai kalme se kalme ki kali tum kya jano,

 

Izhar e khuda bhi is mai hai aur mehboob khuda aur pir bhi,

Yezdani liya khushbu iski kalmain ke kali tum kya jano.

 

................................................................................................................................................................................

 

Salto-Salaam

(By Hazrat Bhole Miyan Sahab (rehmatullah alaih)

 Mere Peer Sahab aur Badey Nana Huzoor)

 

 

Lakho durood aap par Lakho salam aap par,

 

Zato safat ko apki haq ne quran bana diya,

oozo sharaf pe aap ko arsh charan ko chugaya,

 

Lakho durood aap par Lakho salam aap par.

 

Madare kaynat ne noore bashar hai kab jana,

noori adaon se apki ishq khuda ko hogya,

 

Lakho durood aap par Lakho salam aap par,

 

noor me dhale jism ko mim se dhapi shakl ko,

parda ye jab uthgaya shakl thi ek naam do,

 

Lakho durood aap par Lakho salam aap par,

 

arsh farsh ye subah sham aap ke kul jahan ghulam,

haq ne diya hai ye maqam kaule khuda tera kalam,

 

Lakho durood aap par Lakho salam aap par,

 

leke salame johari de do sakune zindagi,

roz nahi to aye nabi karna karam kabhi kabhi,

 

Lakho durood aap par Lakho salam aap par.

 

................................................................................................................................................................................

Auliya Naksh Kudrat Pe Lakho Salam, Panjatan Ki Sayadat Pe lakho Salam,

Fazl-e-Rehman Se Azmat Nabi Ki jo Sikhi, Is Mujadid Ki Jidad Pe Lakho Salam,

Qadri, Nakshbandi Wa Chishti Gulon Ki, Karam Pash Nighat Pe Lakho Salam,

Jise Bibi Zohra Banaye Hai Beta, Fazl-e-Rehman Ki Nisbat Pe Lakho Salam.

 

................................................................................................................................................................................

 

Naat Sharif, Hazrat Bhole Miyan Sahab (rehmatullah alaih) 

 

Kehta Hai Jise Duniya Ye Haj Ka Mahina Hai,

Ye Pi(Lover) Ke Mere Pi Ke Milne Ka Bahana Hai.

 

Aafaq Ka Sagar Hai Taiba Ki Ye Mina Hai,

Wo Saath Mere Aaye Ab Jisko Bhi Pina Hai.

 

Maikhana-E-Duniya Ki Touhin Ye Pina Hai,

Han Unki Madhur Ankhon Se Pina Hi To Pina Hai.

 

Saaki Main Tere Qurban Kya Faiz Mohabbat Hai,

Jis Simt Nazar Dali Us Simt Madina Hai.

 

Aalam Ki Kisi Shay Main Khusbu Hi Nahi Aise,

Jaise Ki Mere Kamli Wale Ka Pasina Hai.

 

Ek Nazar-E-Karam Kardo Sadke Main Nawason Ke,

Toofan Nai Gheera Hai Tuta Sa Safina Hai.

 

Aise Hai Nabi Mere Jhurmuth Main Rasoolon Ke,

Jaise Ke Anghuti Mian Anmol Nagina Hai.

 

Johar Ko Garebi Main Kamzor Na Tum Samjho,

Daman Main Liye Unko Aakaye Madina Hai.

 

................................................................................................................................................................................

 

Bahare Roze Taiba Main Wo Hai Jalwa Araye,

Zammen-E-Arshe Aazam Ho Yahan Jaise Utar Aye.

 

Sare Mehfil Jhalak Ye Apne Kaise Dikhlaye,

Diwana Hogaya Har Ek Hai Ab Tak Sehdaye.

 

Zammen Se Arsh Aazam Tak Na Thi Ye Baarish-E-Noori,

Yakken Hai Aap Ne Apni Nakabe Mim Sarkaye.

  

Kasam Allah ki Aisi Kashish Hai Sabz-E-Gumbad Main,

Hazar Dhang Se Dekha Hai Magar Sairi Na Ho Paye.

 

Samajh Main Ye Nahi Ata Ki Akhir Kya Mamla Hai,

Madine Aatehi Mallom Hota Hai ki Eid Aye.

 

Ghunhagaron Ko Kamli Main Chupane Agaye Aka,

Mubarak Ho Sare Mehshar Khatakaron Ki Banaye.

 

Pareshan Hal Hun, Besahara Hun, Rehmatain Aalam,

Tufaile Hasnain Ka Hojay Thodi Lutf Farmaye.

 

Kitabe Kudrat-E-Haq Ko Padha, Jab Dil Ke Aalam Nai,

Razaye Mustafa Ko Hi Razaye Haq Likhi Paye.

 

Gareebi Par Na Jaye Aap Johar Ki Samajh Lijeye,

Ghulami Ki Ye Daulat Usnai Hai Shabbir Se Paye.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Maine Apni Bakshish Ki Raah Ye Nikal Hai,

Mustaf Ki Rehmat Se Maine Lau Laga Li Hai.

 

Unka Zikr Kar Kar Ke Unka Naam Le Le Kar,

Sogayi Thi Jo Kismat Miane Wo Jagali Hai.

 

Rab Ke Jo Khazane Hai Aap Unke Qasim Hai,

Unke Dar Par Har Koi Isliye Sawali Hai.

 

Kaun Hijare Ahmed Main Bhar Raha Hai Yun Aahian,

Ye Koi Owaisi Hai Ya Koi Bilali Hai.

 

Kya Mila Nahi Aye Riyaz Mustafa Ke sadke Main,

Damane Muraad Apna Kyun Kahun Ke kHali Hai.

 

Maine Apni Bakshish Ki Raah Ye Nikal Hai,

Mustaf Ki Rehmat Se Maine Lau Laga Li Hai.

 

  ................................................................................................................................................................................

 

Jamal-E-Mustafa, az kalam Huzoor Bhole Miyan (rehmatulahi alaih)

 

Tehar betabiye dil ab kinara mil giya humko,

Khush kismat ki taiba ka nazara milgay humko.

 

Na jane kin andheron main ye duniya khogaye hoti,

Jamale Mustafa chamka ujala mil gaya humko.

 

Zami ko mil gaye Musa Falak ko milgaye Isa,

Ke Kismat thi hamari Kamli Wala mil gaya humko.

 

Na hotey Mustafa to hum ibadat ko samjhtey kya,

Mohammed ki badualat Haq ka sajda mil gaya humko.

 

Tum apna sa bashar samjho nabi hum samjhe Ahmed ko,

Khuda ki raah tak jane ka zina milgaya humko.

 

Ye rehmat hai Karam Hai Zindagi ke wastey Johar,

Zaban Par naam jab aya sahara mil gaya hum ko.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Ye Ishq Nabi Mere Dil Main Hi Sama Jana,

Mujhko Bhi Mohammed Ka Diwana Baba Jana.

 

Jo Rang Ke Jame Par Rumi Ko Chadaya Tha,

Us Rang Ki Rangat Mujhpar BHi Chada Jana.

 

Kudrat Ki Nighain Bhi Jis Chehre Ko Takti Thi,

Us Chehrahe Anwar Ka Didiar Kara Jana.

 

Jis Khwaab Main Hojaye Didar Nabi Hasil,

Aye Ishq Kabhi Mujhko Nind Aisi Sula Jana.

 

Duniya Main Riyaz Ho Jab Ukba Ki Taraf Jana,

Daghe Ghum-E-Ahmed Se Sine Ko Saja Jana.

 

Ye Ishq Nabi Mere Dil Main Hi Sama Jana,

Mujhko Bhi Mohammed Ka Diwana Baba Jana.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

(By My Murshid Hazrat Mohammed Fazal Hussain Shah(rehmatullah alaih)

 

JAMAL-E-MUSTAFA(sal-lal-laho-tala-alhi-wasalam)

 

Pyare Rasool Kya Hai Tere Astaan Ki Baat,

Ro Ro Ke Chumte Hai Tere Maikaide Ki Baat,

 

Aey Shah Rang Laye Tere Jaam Ki Jhalak,

Khalke Khuda Nisar Kya Huroon Malak Ki Baat,

 

Rashke Kamar Hai Sehra Nasim Aur Bulbule,

Karte Hai Ye Jamale Rukhe Mustafa Ki Baat,

 

Irfan Ki Wadiyon Main Tere Husn Ke Charche,

Allah Bhi Karta Hai Mere Mustafa Ki Baat,

 

Zaiba Nahi Munafikon Munkir Ki Realiyan,

Mooh Main Nahi Zaban Jo Karain Mere Mustafa Ki Baat,

 

Aa Jao Sab Samjhe Ke Madine Ki Raah Paar,

Haq Ki Zuban, Badrud-Duja, Shamshud-Dhoa Ki Baat,

 

Pir Yezdani Samjhta Hai Sab Jod Tod Ko,

Mil Kare Aiye Mominon Ahle Quran Ki Baat.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

 

This Naat Sharif Is Written By

HAJI QASIM MUSTAFAI FAZL-E-REHMANI Barielwy(rehmatulahi alaih)

 

Tha shor zameen se taa ba-falak, sarkar hamara khoob banaa

Me'raaj ki shab kehtey they malak, Allah ka pyara khoob banaa

 

Mehboob banaya Haq ne tumhein, deedar dikhaya apna tumhein

Woh Ru-e-Munawwar Salle 'Ala hai pyara pyara khoob banaa

 

Rehmat ki ho shaha is pe nazar, haazir hai sawali khasta jigar

Hasnein ka sadqa behr-e-Khuda, do kaam hamara khoob bana

 

Sarkar-e-Karam, Sultaan-e-Hisham, Mukhtar-e-Do 'Aalam, Shah-e-Umam

Ausaaf mein iska misl nahin, kaunein ka Aaqa khoob banaa

 

Zulmat ki ghata barbaad hui, mangta ki tabi'at shaad hui

Ae maah-e-madinah dam se tere qismat ka sitara khoob banaa

 

Jab isney tasawwur tera kiya, soorat mein kisi ki dekh liya

Qasim ke dil-e-muztar mein jhalak aayi to pukara, "khoob banaa!"

 

................................................................................................................................................................................

(By Huzoor Afazlur Rehman urf Bhole Miya (rehmatulahi alaih)

 

zaban khulti hai jab hasnnain kay azkar e midhat main,

kalam sajdey hai karta gaibana shay ki midhat main.

 

sharebe hubey zehra kay koi kaif ko kya janay,

nazar ata hai is mai say khuda har ek halat main.

 

andhera cha nahi sakta kabhi islam muslim par,

bhattar chand bakshay mustafa nay aisay millat main,

 

karam karna mere sarkar itna to damaey akhir,

madad ko apnay khadim ki zara ajana turbat main.

 

subhanALLAH haq nay dediya hissa barabar ka,

wo awwal hai risalat main ye awwal hai shahadat main.

 

Gunahgaar pay johar itna karam kiya kam hai, liya aagosh main shah ne pokara jab musibat main.

 

 ................................................................................................................................................................................

By Hazrat Mohammed Miya urf dard (rehmatullah alaih) mere Nana Huzoor

 

Zeenat darazay husn haqiqat Hussain hain,

Sarmaya ramuzey mashiyat Hussain hain.

 

Ghulgunaey jamalay sahadat Hussain hai,

Aeyena darey jalwaey kudrat Hussain hai.

 

Malik ba hukum e rab yahi 14 tabak kay hai,

Humraaz inka haq hai ye humraaz haq kay hai.

 

Kaunain kay imam payambar kay zeb e dost,

Kausar ki mauj mauj main jinki wila ka josh.

 

Haq khoon bahaey aap wo jabaaz sarfarosh,

Ghulgun kaba rasool ki ummat kay parda posh.

 

Shan e kareem hai,karam e kibriya hai ye,

Wallah aaib posh hai aal e iba hai ye.

 

Dono kay husn rabd pay bina karay nigah,

Mashoor hai ye qaul e falak pana.

 

Ek aal chodta hu main ek mushave ilah,

Peshay khuda hai sabsey siwa inka izwoja.

 

Ye dast girey khalq hai khaliq ka haath hai,

Quran hai inkay sath ye quran kay sath.

 

Likha hai bahiqi nay farmane mustafa,

Shamil agar darood main na aal ko kiya.

Lazim hai dard uspay iyadat namaz ki.

 

Ek baat aur arz karun iskay maa siwa.

Kya kuch kami thi bargahe beniyaz may,

Shamil kiya inhi ko faqat kyu namaz main.

 

................................................................................................................................................................................

 

TASSAWUR-E-PIR

 (By Hazrat Mohammed Fazal Hussain Shah(rehmatullah alaih)

 

Tassawur Mai Jo Aa Jao To Khud Ko Bhul Jate Hai,

Karam Itna Jo Farmao To Khud Ko Bhul Jate Hai.

 

Naza Ke Waqt Rukhe Anwar Dekha Jao To Behtar Hai,

Lehad Main Ake Samjhao To Khud Ko Bhul Jate Hai.

 

Main Pehle Aur Hi Kuch Tha Banaya Aur Kuch Mujhko,

Piye Jo Aap Ka Pyala To Khud Ko Bhul Jate Hai.

 

Khuda Ke Raaz Hi Tumko Agar Izhar Ho Jaye,

To Hasti Cheez Hi Kya Sari Duniya Bhool Jate Hai.

 

Nighae Gunj Makhfi Par Agar Pahuche To Phir Kya,

Rahe Na Khaoof Dozak Ka Wo Jannat Bhi Bhul Jate Hai.

 

Banao Pir Yezdani Ko Mastana Sanam Aisa,

Khuda Bhi Baksh De Mujhko To Sab Kuch Bhul Jate Hai.

 

  ................................................................................................................................................................................

 

Dil Ko Aaeena Banata Hay Tassawur Pir Ka,

Qalb Ki Siyahi Mitaata Hay Tassawur Pir Ka.

 

Hota Hay Is Say Muyasssar Deedar E Rasool,

Haq Taala Say Milata Hay Tassawur Pir Ka.

 

Dil Main Paida Hoti Hay Is Say Khuda Ki Maarfat,

Jaam Wahdat Ka Pilaata Hay Tassawur Pir Ka.

 

Dil Ki Sub Tareeliyan Kafoor Hojati Hain Jub,

Noor Ki Shamaa Jalaata Hay Tassawur Pir Ka.

 

Rehnuma Hota Hay Yeh Toofan E Ghum Main Bilyaqeen,

Kaam Sub Bigray Banata Hay Tassawur Pir Ka.

 

Pir Ka Mujh Ko Nazar Aata Hay Her Shay Main Jamaal,

Jab Meri Aankhon Pay Chaataa Hay Tassawur Pir Ka.

 

Saamnay Aatay Hain Woh Uth Jaatay Hain Saaray Hijaab,

Jis Ghari Aasi Jamaata Hay Tassawur Pir Ka.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Namaz-E-Ishq

 

Sanam Ke Nazare Karam Ek Baar Ho Jaye,

To Zahidon Se Bhi Behtar Namaz Hojaye.

 

Jo Maikade Main Gaya Apne Shoukh Se Zahid,

To Uske Dil Main Bhi Tasveer-E-Yaar Hojaye.

 

Piye Thai Humne Bhi Nazre Milake Jab Unse,

Jabi Main Jitne Thai Sajde Nisar Hojaye.

 

Nafs Main Husan Tera Is Kadar Srayat Hai,

Har Ek Sajde Main Tera Khayal Hojaye.

 

Wo Aur Pehlu Hai Jismai Nahi Sajde Rawan,

Ye Aur Baat Hai Sajde Hazar Hojaye.

 

Tere Hi Zikr Par Daro Madar Hai Sabka,

Jab Zikr Karte Hai Dil Mai Karar Hojaye.

 

Tare Nigah Main Sama Jaon Agar Ai Yezdani,

Meri Lahad Main Bhi Husne Bahar Hojaye.

 ................................................................................................................................................................................

 

Tarif-E-Fazl-E-Rehman Sarkar 

By Hazrat Bhole Miyan Sahab(rehmatullah alaih)

 

Noor tha noore khuda noor-e-rehmani bana,

fazl tha fazl khuda ka fazl-e-rehmani bana,

 

Is kadhar mehboob ho mehboob ke mehboob ho,

Kyun na ho mehboob jab mehboob-e-subhani bana.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Ki mana ki sub kuch to waliyon ki hateli main hai,

aur Fazl-e-rehman ne jisko chmka diya wo bareliy main hai.

 ................................................................................................................................................................................

 

Mankabat

 

Sataya hai gardisho nai sun jaeye

mujhe ghum se akar chuda jaeye.

 

Mukhalif hai hawain kahin tofan ghere

jahan Fazle Rehma hai ajaye.

 

Nazar se Nazar to bahut milchuki

Munasib hai be parda ajaeye.

 

Namze Ishq main padhta hun lekin

jahan sar jhuke aap ajaye.

 

farishto ne ghera hai janch horahi hai

shifarish khuda se to karjaeye.

 

Dawain duain khatam ho chuki

Sambhal jaye halat jo ajaeye.

 

sukun jab na pao to jaldi se johar

Dare Fazl-e-Rehman par ajaeye.

 

................................................................................................................................................................................

 

Aye Mere fazl-e-Rehman Karam kijye, aap ke dar pe har saal ata rahu,

Aap ke mankabat aap ke samne ba adab hoke dil se sunata rahun.

 

Aap ka dar dar-e-rehmate kibriya, hai yahi kaule pake habi-e-khuda,

khake darbar-e-akdas miljaye to, ankhon mai misle surma lagata rahun.

 

bhik de dijye jholi bhardijye, karke nazar-e-karam shaad kardijye,

dast anwar mere sar pe rakh dijye, taki har daur mai muskarata rahun.

 

mere dil ke fasurda kali ab khile aap ke dar se sadka mujhe bhi mile,

main jahan bhi rahun jis jagah bhi rahun, aap ka pyara nagma sunata rahun.

 

bahere Gausul wara aur khawja piya mang tu bhi dua danish benawa,

wo bade bad akidon se main na darun,aur rehmani parchum lehrata rahun.

 

Aye Mere fazl-e-Rehman Karam kijye, aap ke dar pe har saal ata rahu,

Aap ke mankabat aap ke samne ba adab hoke dil se sunata rahun.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Ye mankabat Bade nana Hazrat Afzalur Rehman urf Bhole miyan(rah) jo mere pir sahab bhi hai un par likhi gaye thi chote nana nai Rafiq Miyan Nai.

 

Aap ka parda bahut hi zabardast tarike se hua hai aap ne gunjmuradabad sharif chod diya tha aur akele agra ke jama masjid ke sidhiyon par 43 days ke chilla kiya tha bina kuch khaye piye app 43 days aise hi dhop, barish, main raat aur din baithe rahein aur aap ne 43 din is dunyae fani se parda kiya, aap ko Fana Aur Baka dono ata hui, aap ka jism akdas jab wapas laya gaya gunjmuradabad sharif 3 din bad, aap ke jis akdas par moti kaye jum gaye thi aur aap ke jism ko kuch bhi nahi hua tha(subhanAllah) 3 din hone ke bawajood aisa lagraha tha ki aap sorahein hai,

ye mankabat unki taarif main mere chote nana ne like hai jo aap ka hal tha agra main usain bayan kiya hai.

aap ne parde ke 3 din baad jab aap ko ghusl diya jara tha apni ankh kholdi(subhanAllah) aur aur jo log ghusl de rahe the unko dekha aur muskuraye aisa ap ne 3 baar kiya aur phir hamesha ke liye ankh band karli.

Ise ye malim hoata hai ki Allah wale Marne Ke Baad bhi zinda hai, bus ye ek jagah se dosri jagah chale jate hai is liye ise jab koi guzarta hai to kaha jata hai ki parda karliya hai.

 

Is Hayat-e-maut par hairat ki koi ja nahi,

noor-e-rehma apne markaz ki taraf khichta chalagaya.

 

tham kar akhri ayaam ke ye aye rafiq,

markaze bala se hatkar khak par baitha raha.

 

deen duniya zadiye manzil na koi rasta,

wehmo ghuma yakin na rahat na asq na aah.

 

na paidh har maah tha na din tha na raat thi,

lab se nikal raha tha har sans la ilaha ill lal laa.

 

wo alame sakut tha par na tha jamood,

tanhai thi par na tha tanhai ka wajood.

 

kamosh mehwe haq the nazare jhuki hui,

dedar mustafa ke the nighaon main sujood.

 

nafs par kis tarah kaboo ho ye dikhla diya humko,

tarke duniya kaise ho samjhya diya humko.

 

kanaat isko kehte hai na bori hai na bistar hai,

fana-fil-laah ka shaheed tehra yun thera diya khudko.

 

Mashiyate ilahi par khamosh the warna,

huroon malak apne daman se hawa karte.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Shan Shana Rahe Dil Fakirana Rahe,

Zahen main tera tasawur aur ghum se yarana rahe,

 

Zindagi teri hi hai aur maut tere ishq mai,

Hashr main tu samne aur tera mastana rahe,

 

sakiya kausar zara nazre karam ho istaraf,

jaam ho lub par mere aur rukh bhi shahana rahe,

 

dum me dum ho aap ka aur dil mai ho tasweer e yaar,

shakl rindo ke bane aur chehra rehmani rahe,

 

hashar bhi hurein bhi jannat ka nazara bhi ho,

gumbade khizra pe dil ab mera nazrana rahe,

 

ya madar tera hi kehlata hun mai kadri,

chishti zevar mera shakl yezdani rahe.

 ................................................................................................................................................................................

 

Jo Bhi Chaho Wo Milega Ek Ishi Tatbir Se,

Shart Ye Hai Ishq Karle Pahle Apne Pir Se,

Wo Barzak Ho, Duniya Ho, Mehshar Ho, Ki Ukba Ho,

Har Ek Manzil Main Sab Ko Zaroorat Hai Fazl-e-Rehman Ki(SubhanAllah).

 ................................................................................................................................................................................

 

Na Punchon Kis Ka Dar Hai Kis Paye Ki Hasti Hai,

Ye Dar Hai Fazl-E-Rehman Ka Yahan Rehmat Barsti Hai.

Akidat Khich Laye Hai Yahan Yun Mohabbat Se,

Nabi Ke Ladle Mushkil Khusha Wale Ki Basti Hai.

 ................................................................................................................................................................................

 

Gunah Main Roz Karta Hun Chupate Hai Wo Rehmat Se,

Main Majboor Apni Aadat Se Wo Majboor Apni Rehmat Se.

 ................................................................................................................................................................................

 

Koi Salika Hai Mangane Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai,

Ye Sab Tumhara Karam Hai Baba Jo Baat Ab Tak Bani Hui Hai.

Ahmed-O-Rehmat, Nemat-O-Bhole, Aafaq, Fazlu, Miyan Mohammad,

Tumhari In Par Nazre Karam Hai, Hamari In Se Lau Lagi Hai.

Arife Di Ho, Imam-E-Dauran, Kutub Zamana Tumhi Ho Baba,

Imam-E-Johar Ko Apne Rokhna Tumhi Se Umeed Rehbari Hai.

 

................................................................................................................................................................................

 

Sanam Khana

 

Sanam Khane Main Ashiq Aate Hai Jaya Nahi Karte,

Nighae Yaar Se Pite Hai Pilwaya Nahi Karte.

 

Teri Tasvir Khichi Hai Nighaon Ke Kalam Se,

Ye Naksha Dil Mai Hi Rehta Hai Samjhaya Nahi Karte.

 

Jo Ashiq Ghar Se Jate Hai Khuda Ka Naam Le Le Kar,

Dayare Mustafa Main Jakar Phir Aya Nahi Karte.

 

Teri Wo Rehbari Hai Jis Se Maine Dekha Khudaye Ko,

Ye Aankh Rashq Kyun Karti Hai Samjhaya Nahi Karte.

 

Dikhaya Tune Jalwa Aur Kiya Mansoor Ko Bekhud,

Chadaya Tune Sulipar Ye Samjhaya Nahi Karte.

 

Bakabilla Ki Manzil Par Jo Shums Tabrez Pahuchen The,

Khichayi Khal Phir Unki Ye Samjhaya Nahi Karte.

 

Ye Sab Samjha Diya Maine Magar Mujhko Na Samjhoge,

Zamane Wale Yezdani Ko Samjhaya Nahi Karte.

 ................................................................................................................................................................................

 

Dikha Ya Rab In Ankhon Ko Nazara Fazl-E-Rehman Ka,

Meri Muskil Ka Hal Hai Ek Ishara Fazl-E-Rehman Ka,

 

Meri Kashti Hazar Bar Tufano Se Takraiye,

Magar Milta Raha Mujhe Sahara Fazl-E-Rehman Ka,

 

Mureedon Par Kyun Na Rahe Saya Roz-E-Kayamat Tak,

Ye Faiz Mustafa hai(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Bol Bala Fazl-E-Rehman Ka,

 

Tassawur Kar Raha Tha Jiske Surat Ka Main Mudaat Se,

Jume Ki Rat Miane Dekha Jalwa Fazl-E-Rehman Ka,

 

Tapish Roz-E-Qayamat Mureedon Par Nahi Hogi,

Tana Hoga Wahan Par Shamiyana Fazl-E-Rehman Ka,

 

Tumhare Ek Nazar Ne Mujhko Adna Se Kiya Ala,

Jabhi To Main Japa Karta Hun Nam Fazl-E-Rehman Ka,

 

Akidat Se Zara BHole Miyan Ki Shakl To Dekho,

Ki Chehre Par Nazar Ata Hai Chehra Fazl-E-Rehman Ka.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Nirala Astana Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

Bada Pyara Gharana Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

 

Gul-E-Bagho Risalat Ki Yahin Khushbo Mehakti Hai,

Batega Urs Main Sadka Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

 

Gul-E-Ahmad, Gul-E-Rehmat, Gul-E-Neemat, Ke Jalwon Se,

Mehak Utha Hai Kashana Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

 

Na Jane Kaun Si Khwaish Liye Jate Hai Roze Par,

Karam Hai Aam Kuch Aisa Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

 

Qayamat Se Mujhe Dar Kya Ye To Apna Akida Hai,

Ishara Adna Kafi Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

 

 Sare Mehshar Jo Chakbandi Gunahon Ke Wahan Hogi,

Laga Daftar Wahan Hoga Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

 

Jhalak Bhole Miyan Main Aye Fazl-E-Rehman Se,

Sawara Khub Gulshan Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

 

Khuda Apne Farishton Se Kahaega Safiye Johar,

Ki Jane Do Ye Diwana Hai Hamare Fazl-E-Rehman Ka,

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Mere Fazl-E-Rehman Ka Aastan,

Mere Mustafa(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Ka Kayam Hai,

 

Yahan Ba Adab Chalo Aashikon,

Yahan Sar Uthana Haram Hai,

 

Yahi Mustafa(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Ke Hai Lakhte Jigar,

Yahi Fatema Ke Hai Noor-E-Aain,

 

Yahan Kaba Khud Chalke Agaya,

Ye Adab Ka Aisa Makam Hai,

 

Koi Dekhe Unki Sukhan Gari,

Jo Bhi Chaha Nabi(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Se Paliya,

 

Mere Fazl-E-Rehman Ka har Ek Bayan,

Mere Mustafa(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Ka Kalam Hai,

 

Kise Ko Jila Diya Pyar Se,

Kise Ko Bacha Liya Dar Se,

 

Yeh Sifat Bhi Unki Ajeeb Hai,

Yeh Unhe Ke Bus Ka Kam Hai,

 

Mere Fazl-E-Rehman Ka Aastan,

Mere Mustafa(Sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) Ka Kayam Hai,

 

Yahan Ba Adab Chalo Aashikon,

Yahan Sar Uthana Haram Hai,

 

 ................................................................................................................................................................................

 

[By Hazrat Mohammed Miyan Sahab(rehmatulahi alaih)]

 

Hum Sajdon Main Jinke Kadmon Par Is Sar Ko Jhukaya Karte Hai,

Kya Tum Ko Pata Hai Aye Wayaz Parde Main Kya Kya Hota Hai.

 

Ye Naam Jo Fazl-E-Rehman Hai Darsal Main Fazl-E-Rehman Hai,

Jisne Bhi Pukara Dil Se Inhain Khud Jake Madawa Kartey Hai.

 

Kismat Ye Kahan Jo Khud Pahunche Mushkil Hai Ziyarat Hi Inki,

Ye Ek Karam Hai Inka Karam Jo Humko Bulaya Kartey Hai.

 

Nisbat Se Mohammed Sallam Ko Is Darja Hai Fazl-E-Rehman Se,

Karnain Ko Muradain Puri Yahan Tashrif Wo Laya Karte Hai.

 

Madfan Main Kisi Bhi Khadim Ke, Purshish Ko Nakirain Aye Jahan,

Farma Ke Tabassum Apne Taraf Sarkar Ishara Karte Hai.

 

Hone Ko Abhi Ye Samne Ho Ulfat Hai Ghulamon Se Itni,

Barham Na Nizame Kudrat Ho Parde Se Nazara Karte Hai.

 

Ek Yaad Khatakti Rehti Hai Ek Dard Sa Uthane Lagta Hai,(makta)

Rehmat Se Teri Daman Jo Bhara Neemat Ko Pukara Karte Hai.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Kya Hi Ajeeb Is Anjuman KI Shaan Badi Hai,

Shayad Ye Fazl-E-Rehman Ki ane ki Ghadi Hai.

 

Kyun Kar Na Daraksha Ho Fazl-E-REhman Ka Ghumbad,

Jab GhumBade Khizra Ke Ladi Is Pe Padi Hai.

 

Chedon Na Nakiron Tazeem To Karlun,

Aaye Hai Fazl-E-Rehman Tumhai Apni Padi Hai.

 

Bigda Hua Har Kaam Banega Tera Aye Dard,

Tujhko TO Fazl-E-Rehman Se Umeed Badi Hai.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

(Written By Hazrat Rafiq Miyan (rehmatullah alaih)

 

Ye Kaun Mehfil Main Taza Taza, Maye Mohabbat Pila Raha Hai,

Wo Mast To Makhmoor Hora Hai, Jo Inki Nazar Se Pi Raha Hai.

 

Nazar Nazar Main Roye Neemat, Nafas Nafas Main Roye Rehmat,

Hasin Tassawur Bhole Miyan Ka, Hasin Jalwe Dikkha Raha Hai.

 

Yahin Se Nehrain Karimi Nikale, Yahin Par Irfani Jaam Chalke.

Yahin Pe Mere Habib Rehman, Sharabe Irfan Pila Rahain Hai.

 

Bakadre Himmat, BaKadre Nisbat, Bakadre Chahat, Bakadre Ulfat,

Har Ek Nazar Utha Utha Kar, Pyas Apni Bhuja Raha Hai.

 

Zaroor Maujood Hai Yahan Par, Hamrain Marhoom Saheba Kibla,

Khuch Aisi Khushboo Mehak Rahi Hai, Nazar Kuch Aisa Araha Hai.

 

Hai Kiski Rehmat Banam Fazlu, Jo Aj Mehfil Main Jalwagar Hai,

Ki Dane Dane Ko Karke Ek Jaa, Woh Ek Tasbi Bana Raha Hai.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Huzoor sarkar gaus e zaman, owais e dauran, qutub ul aqtab maulana shah fazle rehma ganj muradabadi(reh) ki kya bala shaan hai usko pesh kartey huye manqabat aap sab kay zamnay hazir hai, ye Maroof Miya nay bohat pehlay likhi thy.

 

Batey kya tumhay hum kiska jalwa fazle rehma hai,

yakeaz shamma bardare tajalla fazle rehma hai.

 

Basurat ek sarapa paikarey khulkhey RasoolAllah,

Basirat mana-e-yaseen wa taha fazle rehma hai.

 

Makame kibriya kya hai amal say jisnay samjhaya.

Wo dana-e-ramuzey la ilaha fazle rehma hai.

 

Kisi nay mustafa kay jism ka saya nahi dekha,

magar wo dekhtay kaisay wo saya fazle rehma hai.

 

Nazar ata hai jis pardey say humko noor e rehmani,

Ba ham do lillah wo purnoor parda fazle rehma hai.

 

Shariyat aur tariqat dono jis manzil par milti hai,

wo manzil fazle rehma hai wo jada fazle rehma hai.

 

Hazaro kaba-e-dil jis say kasbey noor kartey hai,

Ba rabey kaba-e-iman wo kaba fazle rehma hai.

 

Ab uthye rehmat o nemat say inki jholiya bharnay,

ye sab aap hi kay naam lewa fazle rehma hai.

 

Kisi nay dekha baithay hai hassan agosh zehra main,

magar jab gaur say dekha to dekha fazle rehma hai.

 

Andheray zindagi kay ho ki ho markad ki tariqi,

sehar meray muqadar ka ujala fazle rehma hai.

 

 

 ................................................................................................................................................................................

Is Khaqsar Kay likey huye kalaam(Mazhar Rehmani)

 

Adam bana key tujhko rab nay hayat bakshi,

saja kay anjuman ye khudki shinakht bakshi.

 

Ahmed main chupa kar  zahir kiya hai khud ko, 

Mohammed ko dekho kaisi Bashri libas Bakshi.

 

Aey barzaq e lahooti pechan kar khud ki,

tujhmay chupi khuda nay sari kaynat bakhsi.

 

Har rang samaya tujhmay aur berang bhi hua tu,

isko samjhna jo chahey kalmay ki kali bakshi.

 

Aey peer yezdani tum to samjhay kalmay ko pura,

mazhar ko bhi samjhao kalmai ki kali jo bakshi.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Ek teri hi nawazisho say  mera nizam chalta hai, jo ye inayatain na ho to phir kiska kaam chalta hai..

 

Atey ho madad ko jab  pukarta hun main,  ajab baat hai phir kyu pardey main kaam chalta hai.

 

Kehtay hai sabhi log badi shaan wale ho, arsh-e bari tak, ek tera bhi naam chalta hai.

 

Patey hai muradey bin mangey terey dar pay, terey hi tukdo pay ya peer har khaas o aam palta hai.

 

Dijye sadqa ab panjatan ka kuch aisa, suna hai panjatani sadqa sar-e-aam chalta hai.

 

Chalta rahey mazhar ka bhi ye khandan yu, ek teray naam lewao main iska bhi naam chalta hai.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Padjaey jaye nigahey jis jis pay teri, wo ghar ka jana bhool gaey.

 

Gir jaye terey jo kadmo main, wo ashq nadama bhool gaey.

 

Pilay jo madmast nazaro say, wo peena pilana bhool gaey.

 

Aya ya na karo yu samnay tum, palko ko jhukana bhool gaye.

 

Dekha hai jis din say bey parda tumhay, hum hosh main ana bhool gaye.

 

Aey kash kabhi wo yun aye mazhar, aur laut kay jana bhool gaye.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Bajeyga hashr tak danka hamarey fazle rehma ka,

Jahan main bol bala hai hamaraey fazle rehma ka.

 

Wali to bohat guzray hai is duniya main lekin,

na guzra hai koi sani hamara fazle rehma ka.

 

Rasool Allah khud tashrif laye jinki masjid main,

Wo bala kashana hai hamarey fazle rehma ka.

 

Wo apne waqt k hai ghous or owais e douraan bhi,

Koi sani nahi milta hamarey fazle rehmaa ka.

 

Jahan walo chaley aao, yaha ab yun aqidat say,

Kay bat ta har ghadi sadqa, hamaraey fazle rehma ka.

 

Shariyat aur tariqat jis dar se hai milti....

anokha astana hai, hamarey fazle rehma ka.

 

Ahmed ho kay rehmat ho, neemat ho ki ho bholay,

Saja kaisa hai ye pyara gharna fazle rehma ka.

 

Piya hai jis din say, mazhar nay, ye jaam e rehmani,  ye jaam e rehmani

hua hai wo bhi dewana hamaray fazle rehma ka.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Dil ki ye aarzoo thi kay, koi dilruba mijay... Jo milay fazle rehma to, samjho khuda milay.

 

malkoot ho jabroot ho, lahoot ho, ya hahoot, har ek manzil par, wo jabaja milay.

 

Moosa ko milay toor, logo ko milay hoor, Mujhko faqat aey jaane jaa, tera naqsh e paa milay.

 

Mushkil main jis nay bhi, pukara hai har ghadi, mangto kay aap hi to, hajat rawa milay.

 

Deyta hai sada aapko mazhar bhi isliye, kashti kay uski aap hi, nakhuda milay.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Jo Qabool Tu Karle Woh Adaa Kaha Se Laaoom, Tumhey Kis Tarha Rijhaaoon Mere Peer Yazdani 

 

Meri har adha khta hai tu kareem bhi bada hai, mery khataen bakshwa ja, mere peer lasani.

 

Tere jalwo say kab tak rahey meri ankh pyasi, akay hijab uthaja mere  peer irfani .

 

Sajdey kiye hazaro tere naqsh paa key khtair, koi namaz aisi padha ja meri peer sultani.

 

Mazhar bhi hai tumhra kushta e khaq saha, meri tishnagi mitaja aye peer yezdani.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

 

Jalwa e yaar main har jalwa nazar aeyga, tujhko Allah bhi isi shakl main nazar aeyga.

 

Parda e meem ka jab chaak hoga, shakl ahmed may chupa ahad nazar aeyga.

 

Adam o hawa ko kya samjhay tum, wahi paar lagy jo isay sajaeyga.

 

Dekhlo jisko tum muskura kay meray saqi, khuda kasam wo tera beemar nazar aeyga.

 

Hijab jis ki nazar par pada ho gaflat ka, wo lakh dekhay usko na kuch nazar aeyga.

 

Ye rasta e faqr hai yahan shart ishq awwal, jo ho ye to sab is raah main nazar aeyga.

 

Doob kay dekh to zara zaat e murshid may mazhar , tujhko har jalwa isi bazm main nazar aeyga.

 

................................................................................................................................................................................

 

Har dum mere sakiya tu rubaru rahey, Is kay alawa na aur koi aarzo rahey. 

 

Aey ayena e saaz tu mujh may pinha hai, Ek tujhko dekhney ki hi justaju rahey.

 

Paun khud hi main tujhko jab meraj ho meri, Dekhay jo mujh ko log to tu hubahu rahey.

 

Sharab e ishq ka jaam ho namaz e ishq bhi ho ada, Teri nazar say jo piyae wo baa wazu rahey.

 

Aaye Kazaa jab Meri hai Aarzoo bus yahi, Bhole Miya shakl teri  saamne rahey.

 

Pita rahey mazhar bhi ye sharab e ishq, Hardum merey sans main ye ha hu rahey.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Aaj kis uruj par mera maqam pahucha, mujhay bhi fazle rehma ka salam pahucha.

 

Ghadaye unkay ghulamo ki kartey kartey, Meri kabuliyat ka bhi payam pahucha.

 

Tishangi sari mitgaye us din, Mere liye bhi rehmani ek jaam pahuncha.

 

Ye jo bhi hui sarfarazi mujh par, Baba tumhari nazaro ka faizan pahucha.

 

Thamay rakhna ta hashar damaney ummed  mazhar, Fazle rehma tak ek tera bhi naam pahucha.

 

 ................................................................................................................................................................................

Aqa salam tum par, shaha salam tum par,

Yaseen salam tum par, taha salam tum par.

 

Lakho salam tum par aey sarvaro kay sarvar.

 

Fazle rehma ka charcha malayek karey,

Qutub, Abdal jinki ghulami karay,

Waliyo main hai koi kya aisa wali,

Fazle rehma ke azmat pe lakho salam.

 

Khud aqa nay jinko basharat hai di,

Jo tumhara nahi wo hamara nahi,

Bakshay jayengay sab khuda ki kasam,

Jis pay uth jae tumhari ye chasme karam.

Fazle rehma ki turbat pe lakho salam.

 

Kashf aisa ki sab kay ho halat bayan,

Murdon ko ki ho jis nay zindagi ata,

Kaba jinki ziyarat ko khud agaya,

Us nigahey wilyat pe lakho salam

 

 

Khwaja afaq ne dekha aur khadiya,

Salam ho tum par aey mehboob e khuda,

Tum ho jaan e ali aur sukoon e fatima,

Hasnain kay dilbar pe lakho salam

 

Fazle rab se meli tumko aise ata,

Jisko chaha kiya bin mangay ata,

Aaj charcha hai ahmed raza charsu,

karam paash nighat pe lakho salam.

 

Yad maine kiya aur wo aagaye,

Dekhtay dekhtay dil main cha gaye,

Jisnay dil say pukara hai mazhar unhay,

Kaam bigdey yun minto main ban jayen gay.

 

Fazle rehma ki nisbat pe lakho salam.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Tere ishq main duniya chodi apno say nata tod diya,

ek tujhko panay kay khatir khud say nata tod diya.

 

Phir ta raha main rat o din  tere talash kay khatir,

paun khudi main tujhko jab khud say nata tod diya.

 

Zikr kiya har sans main par la say nikla hi nahi, 

Mere peer ki ek tawajho nay khud say nata tod diya,

 

jao mazhar na tum kahi apnay piya ko chodkar,

mere sanam ki nazar nay  khud say nata jod diya.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Jab samnay ho tum aey jane jahan,

Nazaro ko jhukaye kyu kar hum.

 

Nazaron ko milaye jo nazraon say teri,

Kya kuch na paye kyu kar hum.

 

Kis shay main nahi ho jalwa numa,

Har simt tujhay hi paye hum, 

 

Cehra jo tera naino main basa,

Nazray bhatkaye kyu kar hum.

 

Lakho hai diye jo roshan huye,

jab lau jalaye kalmay ki.

 

Roshan hua barzaq ye mera,

Ab dar dar jaye kyu kar hum.

 

Mazhar hi nahi shayda tumpar,

hai kitnay dewanay mehfil main.

 

Ab kardo karam Yazdani piya, 

khali yun jaye kyu kar hum.

 

 ................................................................................................................................................................................

Chasm e muntazir hai meri, deedar e yaar main.

Na wehmo ghuman bacha hai ab,Ulfat e yaar main.

 

Khoon e jigar say sich kay, kichi hai tasveer e yaar.

Ata nahi hai kyu nazar, dil e bekarar main.

 

Samjha nahi hai waiz tu bandagi ka raaz.

Jhukti hai kyu meri jabi, paa e yaar pay.

 

Mudat say thi talash mujhay, khairul anam ki, 

aye wo dilruba nazar, soorat e yaar main.

 

Rehna tum pesh e nazar, mazhar kay har ghadi.

Sab kuch loota kay aya hai wo tere dayar main.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Raat ki neend gai chain gawaya dil ka, Log kyu khel samjhte hai lagana dil ka.

 

Jab say dali hai nazar tunay mujh par, dekhtay rehgaye hum hath say jana dil ka.

 

Jism kya  rooh main sama gaye ho tum, bada suroor deta hai tadpana dil ka.

 

Hai tera dar kaba ishq ke maro ka, ta umar rahay yu hi ana jana dil ka.

 

Har ek sans jo tere naam lekar aty hai,  har ek ahat pay ye machal jana dil ka.

 

Jabi ho ye kabhi jo tere kadmo main, to ho qabool mera bhi nazrna dil ka.

 

Aah bhi ho to awaz nahi hoty hai, asan nahi ye, dil lagana dil ka.

 

shadman ata hai mazhar jo aey logo, hai karam unka, dil hai deewana jinka.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Teri nisbat mili ban gai zinadagi,

Aisi daulat se badkar aur kya caheye.

 

Ye rishta e ishq salamat rahey

Tere ashiq koi bus aur kya caheye.

 

Tu mere samnay main tere samnay,

be parda ho dono to kuch baat hai.

 

Mit gaye ab dui, ek hum jab huye,

Maujood mujh may hi tum ho to kya chaye.

 

Ye mera dekhna hai tera dekhna,

Dekhnay walo ko kab ye samajh aeyga.

 

Dekhay jo mujhko nazar ao tum,

aisay ashiq ko bhala aur kya chaye.

 

Aey ho ab to ab yahi teharna,

ye barzaq tumhara hai yazdani peer.

 

Basaya kalmay ko sans main meri,

is say bhadkar mazhar ko ab aur kya chaye.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

Nazray mila kay peer nay dewana kar diya,

Dikha kay jalwa khud say begana kar diya.

 

Main pehaly aur kuch tha banaya aur kuch mujhko,

Pila kay jaam e illal lah mastana kar diya.

 

Tera karam kay tawasul teri ata pay nisar,

Jabi ko naqsh paye yaar par nazrana kar diya.

 

Na samjha aey waiz tu sajda e bandagi kya hai.

Raaz mohammed kyu khuda nay hijabana kar diya.

 

Bhole miya ki mujhpar inayat to dekhye.

Qalb-E- Mazhar ko apna kashana kar diya.

 

Kashana say murad thikana hai.

 ................................................................................................................................................................................

 

Ishq murshid main jo dooba usko kinara milgaya,

Yani haq tak pahuchnay ka usko sahara milgaya.

 

Allah Allah karte ho Allah ko dekha hai kya,

Peer kay pardey main dekho, rab ka nazara milgaya.

 

Allah tak jo pahuch chuka, ustaq tum pahuncho pehlay,

Zaat e murshid ko samjho ab ishara milgaya.

 

Mushkil kyu na door ho, bhage balaein sar ke bal,

Aap ka sarkar jab adna sa ishara milgaya.

 

Shakl e murshid main maujood hai ye sari jalwagiri,

Ek zara parda uthaya aur nazara mil gaya.

 

Dekhta hai mazhar bhi hokar bekhud tera jamal,

Naqsh paa-e-peer ka jabsay sahara milgaya.

 

 ................................................................................................................................................................................

 

La say nikal, ilaah ka nazara dekh, il lal lah main dakhil hokar bhed ye sara dekh.

 

Zarb laga hu  hu ki hardum, Phir khel ye sara dekh.

 

Hai mohammed lal kyu aur rasool pila, be rang say Allah may ye sara nazara dekh.

 

Ek thukam say kaisa nikla shajar ye sara dekh,

 

Jaap laga kalmay ka mazhar, phir khud apna hi nazara dekh.